khamoshi

Kuchh keh na sake, kuchh sun na sake,Dil ki baaton ko bun na sake.Har lafz zubaan tak aakar ruk gaya, Hum bas aankhon se jeete rahe.

Bheed thi chaaron or magar, Man mein ek sannata gehra tha.Har muskaan ke peeche jaise, Ek chhupa hua chehra tha.

Khamoshi bhi ab shor karti hai, Har lamha kuchh aur kehta hai.Raatein bhi ab sawaal poochhti hain, Aur neend har roz bichhadta hai.

Humne socha tha waqt batayega, Par waqt bhi khamosh nikla.Jo na keh sake woh hi asli tha,Baaki sab to bas dikhawa nikla.

Leave a Comment